Kala Jadu Sikhne Ka Tarika {100% Working} Tilottama Apsara Khud Sikhayegi

Kala Jadu Sikhne Ka Tarika har kisiko pata nehi hota. jab bhi kala jadu kaa naam log sunte hain man hi man unke andar kala jadu kaise sikhe yeh sawal ka chahat hota hai. Mai apko ek aisa tarika bataunga jiske chalte khud tilottama apsara apko kala jadu sikhayegi. jyada bakwas nakake sidhe mude par aataa hun. Dekhiye apsara ek behat kubhsurat stri hoti hai joh ki daivi shakti apne saath lekar chalti hai. Agar app apsara ko sidh kar lete hen tofir woh apko itni shakti desakti hai jiski kalpna aap nehi kar sakte. Chahen woh samohan, vashikara yafir bijay laabh aur dhan praapti ki kyun naa ho. Lekin app tilottama apsara sadhna karne se pehle guru dharan karna padega. Agar aap guru dharan nehi kiye hai tofir iskeliye bhi ek upaay hai. Apko mahadev ko guru rup mein baran karke ek dhoti bastr, kuch chawal, vegitables aur 101 rupey dakshina ke taur par kisi bhi shiv mandir pe daan karke aana padega.

Kala Jadu Sikhne Ka Tarika

Kala Jadu Sikhne Ka Tarika

Iske baad Om Namah Shivay mantra ko kamse kam 21 din tak har roz 108 mala jaap karna padega. yaad rakhiye ek din mein 108 baar nehi balki 108 maala jaap karna padega. iska matlab hai 1088108=11664 baar jaap karna padega. 21 din ke baad kisi bhi brahman jinko hawan ka acha jankari ho unko ghar bulakar ek kagaj mein app om namay shivay mantra ka 21 din tak itna jaap kiya hai aur uskeliye aap haban karna chahte hein aisa likh kar dena padega. Yaad rakhiye app muh khol kar bilkul bhi nehi bolna ki mai yeh sadhna kar raha hoon. Jab brahman uss kagaj par likha chiz padhega tofir samajh jayega. Aur woh usike hisab se hi hawan ki taiyari karwayega. Aur apko pura nistha niyam aur sampurn bidhi ke hisaab se hawan pe ahutiyan dalwayega.

Dasaansh haban, tarpan aur maarjan karneke baad 3 yaafir 5 brahman ko bhojan aur dakshina pradaan karte hi apka mantra apne aap hi sidh hojayega. aur jab app tilotama apsara ki sadhna par baithenge left haath mein ek lohe kaa kaantaa pakadkar dusre haath mein mala pakad kar 11 mala om namah shivay mantra kaa jaap karna hoga. Phir uss lohe ke kaante ko pakad kar apne chaaron taraf ek suraksha ghera banana padega.

Phir uss ghere ke andar jab tak tilottama apsara mantr jaap sampurn nehi hojata tab tak aap uthenge nehi. Yaad rakhe tilottama apsara ki koi bhi tasvir yafir photo yafir yantra ek aasan par bithakar rakhna padega. Jathoc hit puja karke kuch mithaai bhog lagana padega. Aur phir ॐ श्रीं तिलोत्तमे आगच्छ आगच्छ स्वाहा (om shreem tilotame aagacha aagacha swaahaa) mantra ka jaap 11 din tak har roz 51 mala jaap karna padega.

Apsara Sadhna Mein Kuch dhyaan dene wali baat hai.

  • Sadhna Karne Se Pehle sudh hojayiye.
  • Sadhna ke 11 din kathor brahmacharya palan kijiye.
  • Sadhna prarambh karne se pehle 11 mala om namah shivay ka mantr jaap kijiye aur bhagwan ko apna abhisht sidh honeka aur surakhya karneka prarthna kijiye.
  • Suraksha chakra ghera jarur banwaiye.
  • Sadhna ke dauran jitna hosake utna kam baat chit dusron se kijiye.
  • Jitna hosake nihsang yaniki akela rehne ki koshis kijiye.

Ek baat yaad rakhiye apka sadhna jitna kathor hoga tilottama apsara ki shakti utni hi jyada tibr aur powerful hogi. 11 din tak joh bhi anubhav apko hoga app khud sehem jayenge. Aur ek chiz yaad rakhiye jab 11 din mein tilottama apsara pratyaksh naa ho tofir sadhnako 21 din tak khichiye. 21 din par tilottama apsara bibash hojayegi pratyaksh hone keliye.

Jab tilottama apsara pratyaksh hojaye tofir sabse pehle uske charan ko dekhkar yeh kahiye ki he devi mai adham murkh apka sadhna nehi janta phirbhi app mere upar kripa karke mujhe darshan diye hein isiliye apke charnon mein shat baar naman aur apko koti koti dhanyabaad. Mera icha kala jadu yafir tantr kriyaon mein maharath haasil karna hai. Sahi guru ka chayan mujhe nehi aata hai aur sahi guru ko dhundna mere dwara asambhab pratit horaha hai. isiliye aap kripa karke mujhe tantr gyaan pradaan karen aur mujhe sidhi onke path mein gyan ki prakash ki aur lejaiye.

Baas itna kehnese hi woh apsara apko puchei ki app usse kis rup mein apne jiban mein sthaan pradaan karna chahte hein? Tofir app usko bataiye ki app usse apne jiban mein kisibhi rup mein sthaan nehi desakte aur yeh bhi bataiye ki woh swatantr aur mukt hi rahe kyun ki ek insaan aur apsara ke bich sambandh sthaapit nehi hosakta. Apka mansaa kebal aur kebal siddhi prapt karna hai aur gyaan prapt karna hai. isiliye app usko boliye ki app tantra gyaan prapt unse karna chahte hein aur woh ussika asribaad apko den.

Itna batate hi woh apko ashirbaad dekar apne lok wapas chali jayegi. Agar vul se bhi app apne jiban mein usko mata, beti, utri, mitr, yafir guru ke sthaan dediye tofir apka jiban barbaad hona tey hai. Kyunki sambandh hamesa barabr walon se rakha jata hai yehi srishti ki niyam hai. Aur aar app usko apne jindagi mein sthaan dediye tofir app kahin ka nehi rahenge na gharka na ghaat ka. Yaniki woh apko bhabisya mein koi bhi uch koti kaa saadhna karne nehi degi jiske chalte apka adhyatm puri tarha nasht hojayega aur mrityu ke paschaat app uss apsara ki daas banjayenge. Mera iss chiz par pratyaksh anubhab hai isliye mai apko har chiz baariki se aagaah kar raha hoon. Aur aasa karta hoon isse behtarin Kala Jadu Sikhne Ka Tarika kuch bhi hohi nehi sakta. Kyunki manav aur devta ke andar yehi sabse bada antar he ki insaan kisi bhi mantra ka sahi bidhi aur jald se jald sidh honeka maarg nehi janta hai. Lekin devta aur apsarayen shaktionse khelti rehti hai. isiliye agar app apsara se sikhenge tofir joh chiz aghoriyonko saalon saal siddhi prapt karne keliye lag jata hai uss wakt kuch hi mahinon mein apsara apko saari sidhi aur gut se gupt kala jadu mantra pradaan kar deti hai.

Related Content